(Jeena yahan, marna yahan
Iske siva, jaana kahan) * 2
Ji chahe jab humko awaaz do
Hum hain wahin, hum thhe jahan
Apne yahin, dono jahan
Iske siva jaana kahan
Jeena yahan, marna yahan
Iske siva jaana kahan
(Yeh mera geet, jeevan sangeet
Kal bhi koi, dohrayegan) * 2
Jag ko hasane, bahrupiya
Roop badal phir aayega
Swarg yahin, nark yahan
Iske siva, jana kahan
Ji chahe jab humko awaaz do
Hum hain wahin, hum thhe jahan
Apne yahin, dono jahan
Iske siva jaana kahan
(Kal khel mein, hum ho na ho
Gardish mein taare rahenge sada) * 2
Bhoologe tum, bhoolenge wo
Par hum tumhare rahenge sada
Rahenge yahin, apne nishan
Iske siva, jana kahan
Ji chahe jab humko awaaz do
Hum hain wahin, hum thhe jahan
Apne yahin, dono jahan
Iske siva jaana kahan