Movie: Buddha Mil Gaya (1971)
Song: Raat Kali Ek Khwaab Mein Aayi
Lyricist: Majrooh Sultanpuri
Music: R.D.Burman
Singer(s): Kishor Kumar
Cast: Om Prakash, Navin Nischol, Deven Verma
Director: Hrishikesh Mukherjee
Producer: L.B.Thakur
Hmm hmm…
(Raat kali ek khwaab mein aayi, aur gale ka haar huyi) * 2
Subah ko jab hum neend se jaage, aankh tumhi se chaar huyi
Raat kali ek khwaab mein aayi, aur gale ka haar huyi…
(Chaahe kaho ise, meri mohabbat, chaahe hansee mein udaa do
Ye kya hua mujhe, mujhko khabar nahin, ho sake, tum hi bataa do) * 2
Tum ne qadam toh, rakha zameen par, seene mein kyon jhankaar huyi
Raat kali ek khwaab mein aayi, aur gale ka haar huyi…
(Aankhon mein kaajal, aur laton mein, kaali ghataa ka baseraa
Saanvali soorat, mohni moorat, saavan ruth ka saveraa) * 2
Jabse ye mukhdaa, dil me khila hai, duniyaa meri gulzaar huyi
Raat kali ek khwaab mein aayi, aur gale ka haar huyi…
(Yoon toh haseeno ke, mahajabeeno ke, hote hain roz nazaare
Par unhe dekh ke, dekha hai jab tumhe, tum lage aur bhi pyaare) * 2
Baahon mein le loon, aisi tamanna, ek nahin, kai baar huyi…
Raat kali ek khwaab mein aayi, aur gale ka haar huyi
Subah ko jab hum neend se jaage, aankh tumhi se chaar huyi
Raat kali ek khwaab mein aayi, aur gale ka haar huyi. 😉