“Aafreen Aafreen” Song Lyrics

Lyrics: Javed Akhtar
Additional Lyrics: F K Khalish
Singers: Rahat Fateh Ali Khan, Momina Mustehsan
Music Produced & Directed by: Strings
Originally Composed by: Ustad Nusrat Fateh Ali Khan
Credits: Coke Studio

Enjoy the song ‘Aafreen Aafreen’ here:

Aisa dekha nahi, khoobsurat koyi
Jism jaise Ajanta ki moorat koyi
Jism jaise nigaahon pe jaadu koyi
Jism naghmah koyi, jism khushboo koyi
Jism jaise mehekti hui chaandani
Jism jaise machalti hui raagini
Jism jaise ke khilta hua ek chaman
Jism jaise ke sooraj ki pehli kiran
Jism tarsha huwa dil-kash o dil-nasheen
Sandaleen sandaleen, marmareen marmareen

(Husn-e-jaanaan ki taareef mumkin nahi) * 2
Aafreen aafreen, aafreen aafreen
Tu bhi dekhe agar, toh kahe hum-nasheen
Aafreen aafreen, aafreen aafreen
(Husn-e-jaanaan ki taareef mumkin nahi) * 2

Jaane kaise baandhe tune, akhiyon ke dor
Man mera khincha chala aaya, teri or
Mere chehre ke subh, zulfon ke shaam
Mera sabkuch hai piya ab se, tere naam
Nazron ne teri chuwa, toh hai ye jaadu hua
Hone lagi hoon main haseen
(Aafreen aafreen, aafreen aafreen) * 2

Chehra ek phool ki, tarh shaadaab hai
Chehra uska hai ya, koyi mahtaab hai
Chehra jaise ghazal, chehra jaan-e-ghazal
Chehra jaise kali, chehra jaise kanwal
Chehra jaise tasawwur bhi tasweer bhi
Chehra ek khwaab bhi, chehra taa’beer bhi
Chehra koyi alif lailawi daastaan
Chehra ek pal yaqeen, chehra ek pal gumaan
Chehra jaisa ke chehra kaheen bhi nahi
Maah-ru maah-ru, meh-jabeen meh-jabeen

(Husn-e-jaanaan ki taareef mumkin nahi) * 2
Aafreen aafreen, aafreen aafreen
Tu bhi dekhe agar, toh kahe hum-nasheen
Aafreen aafreen, aafreen aafreen
(Husn-e-jaanaan ki taareef mumkin nahi) * 2

** Hope you enjoyed the song lyrics! Share your happiness, and do comment below for any suggestions! Thank you :) **