“O Meri Jaan Song Lyrics”

Movie: Tum Mile (2009)
Song: O Meri Jaan
Singer(s): K.K
Music: Pritam Chakraborty
Director: Kunal Deshmukh
Lyricist: Kumaar, Sayeed Qadri
Cast: Emraan Hashmi, Soha Ali Khan

(Hairaan hai hum, hue kyun tum gairon se
Kaisa hai gum, bolo na tum honthon se) * 2

Na tum ho bewafaa, na mein bhi hu
Phir bhi hain hum judaa, main kya kahoon
Na jaane waqt ki, marzi hai kya
Kyun hai mili, yeh duriyan
(O meri jaan) * 4

Tere bin jo din aaya, kaate na woh, kat paaya
Kami teri, khal si jaati hai
Tere bin jo shaam aayi, badi dil ki tanhai
Meri aankhen, bhar si jaati hain

Kuch tum mujhse khafa, kuch main bhi hun
Hai kya iski wajah, main kya kahun
Na jaane waqt ki, marzi hai kya
Kyun hai mili, yeh duriyan
(O meri jaan) * 4

Tujhe dil se tha chaaha, tu hi toh na mil paaya
Khushi mujhko, chal si jaati hai
Mera tu tha sarmaaya, tujhe paaka na paaya
Yahi baatein, chubh si jaati hain

Tanhaa teri tarah, haan main bhi hun
Donon hain gamzadaa, main kya kahun
Na jaane waqt ki, marzi hai kya
Kyun hai mili, yeh duriyan
(O meri jaan) * 4      🙁