“Breathless Song Lyrics”
Album: Breathless (1998)
Song: Breathless
Lyricist: Javed Akhtar
Music: Shankar Mahadevan, Ehsaan Noorani, Loy Mendonsa
Singers: Shankar Mahadevan
Cast: Shankar Mahadevan
Directors: Farhan & Zoya Akhtar
Producer: Shankar Mahadevan
https://youtu.be/71RRcv5Jci0
Koi jo mila toh mujhe aisa lagta tha jaise
Meri saari duniya main geeton ki ruth aur
Rangon ki barkha hai, khushbu ki aandhi hai
Mehki hui si ab saari fizaayein hain
Behki hui si ab saari hawaayein hain
Khoyi hui si ab saari dishayein hain
Badli hui si ab saari adaayein hain
Jaagi ummangein hain, dhadak raha hai dil
Saanson main toofaan hain
Hoton pe nagmein hain, aankhon main sapney hain
Sapnon main beete hue se vo saare lamhe hain
Jab koi aaya tha, nazron pe chaaya tha
Dil main samaya tha
Kaise main bataun tumhe
Kaisa use paaya tha, pyaar se chehre pe
Bikhri jo zulphein toh aisa lagta tha jaise
Kohre ke peeche ek os main dhula hua
Phool khila hai, jaise
Baadal main, ik chaand chupa hai
Aur jhaank raha hai
Jaise raat ke parde main, ek savera hai
Roshan roshan, aankhon main sapnon ka
Saagar jismain prem sitaron ki
Chaadar jaise jhalak rahi hai
Lehron lehron, baat kare toh jaise, moti barse
Jaise kahin chandi ki payal goonje
Jaise kahin sheeshe ke jaam girey
Aur chann se hai tootey
Jaise koi chip ke sitaar bajaye
Jaise koi chaandni raat main gaye
Jaise koi houle se paas bulaye
Kaisi meethi baatain thee vo
Kaisi mulakatein thee vo
Jab maine jaana tha
Nazron se kaise, pighalte hain dil aur
Aarzoo paati, hai kaise manzil aur
Kaise utarta hai chaand jameen par
Kaise kabhi lagta hai swarg agar hai, toh bas hai yahin par
Usne banaya mujhe, aur samjhaya mujhe
Hum jo mile hain hamain, aise hi milna tha
Gul jo khile hain unhe, aise hi khilna tha
Janmon ke bandhan, janmon ke rishte hain
Jab bhi hum janme toh hum yahin milte hain
Kaanon main mere jaise, shehed se ghulne lage
Khwaabon ke dar jaise aankhon main khulne lage
Khwaabon ki duniya bhi kitni haseen
Aur kaisi rangeen thee
Khwaabon ki duniya jo kahne ko thee
Par kahin bhi nahi thee
Khwaab jo toote mere, aankh jo khuli meri
Hosh jo aaya mujhe, maine dekha maine jaana
Vo jo kabhi aaya tha, nazron pe chaaya tha
Dil main samaya tha
Ja bhi chuka hai aur dil mera ab hai tanha tanha
Na toh koi armaan hai, na koi tamanna hai
Aur na koi sapna hai
Ab jo mere din aur ab jo meri raatein hain
Unmain sirf aansoon hain
Unmain sirf dard ki ranj ki baatein hain
Aur fariyaadein hain,mera ab bhi koi nahi
(Main hoon aur khoye hue pyaar ki yaadein hain) * 3 ♥ 😥 ♬