“Rab Ka Shukrana Song Lyrics”

Movie: Jannat 2
Song: Rab Ka Shukrana
Singer(s): Mohit Chauhan
Music Director: Pritam

Tu hai ab jo baahon mein, qarar hai, rab ka shukrana
Saanson mein hai nasha, khumar hai, rab ka shukrana
Tu hi ab mera deen hai, imaan hai, rab ka shukrana
Mera kalma hai tu, azaan hai, rab ka shukrana
Rab ka, shukrana…

Tu mila toh sab mila, ab kisi se kya gila
Tujhme simtu, aa main bikhru, teri baahon mein
Tu mila toh sab mila, ab kisi se kya gila
Tujhme simtu, aa main bikhru, teri baahon mein
Fanaa ho jaaun main…

Tu hi ab duniya meri, jahaan hai, rab ka shukrana
Khwabon ki khayalon ki, udaan hai, rab ka shukrana
Tu hi ab mera deen hai, imaan hai, rab ka shukrana
Mera kalma hai tu, azaan hai, rab ka shukrana…

Sab se ho jaaun pare, jo ishaara tu kare
Ab toh rehna, hai tujhi mein, gumshuda hoon main
Sab se ho jaaun pare, jo ishaara tu kare
Ab toh rehna, hai tujhi mein, gumshuda hoon main
Ho teri, baahon mein…

Jazbon ka ab toh naya, bayaan hai, rab ka shukrana
Naya rutba nayi, shaan hai, rab ka shukrana
Tu hi ab mera deen hai, imaan hai, rab ka shukrana
Mera kalma hai tu, azaan hai, rab ka shukrana…

Rab ka, shukrana. 🙂