“Khuda Bhi” Song Lyrics

Movie: Ek Paheli Leela (2015)
Song: Khuda Bhi
Lyricist: Manoj Muntashir
Singer: Mohit Chuahan
Music: Tony Kakkar
Music Rights: T-Series
Cast: Sunny Leone, Jay Bhanushali, Rajneesh Duggal, Rahul Dev, Mohit Ahlawat
Director: Bobby Khan
Producers: Bhushan Kumar, Krishan Kumar, Ahmed Khan, Shaira Khan

Enjoy the songs from the movie Ek Paheli Leela (2015) here:

(Khuda bhi jab tumhe, mere paas, dekhta hoga) * 2
Itni anmol cheez dedi kaise, sochta hoga
Tu be-misaal hai, teri kya misaal doon
Aasmaan se aayi hai, yehi kehke taal doon
Phir bhi koyi jo pooche, kya hai tu kaisi hai
Haathon mein rang leke, hawa mein uchaal doon
Hawa mein uchaal doon

Khuda bhi jab tumhe, mere paas, dekhta hoga
Itni anmol cheez dedi kaise, sochta hoga

Jo bhi zameen tere, paaon thale aaye
Kadmon se chooke woh, aasmaan hojaaye
Tere aage pheeke pheeke, saare shingaar hai
Main toh kya farishte bhi, tujhpe nissar hain
Garmi ki shaam hai tu, jhaadon ki dhoop hai
Jitne bhi mausam hain, tere karzdaar hain
Tere karzdaar hain

Khuda bhi jab tumhe, mere paas, dekhta hoga
Itni anmol cheez dedi kaise, sochta hoga

Chehra hai ya jaadu, roop hai ya khwaab hai
Aankhein hain ya afsaana, jism ya kitaab hai
Aaja tujhe main padhloon, dil mein utaar loon
Honthon se dekhun tujhe, aankhon se pukar loon
Khwaahishein ye kehti hain, kehti rehti hain
Leke tujhe baahon mein, shaamein guzaar loon
Shaamein guzaar loon

Khuda bhi jab tumhe, mere paas, dekhta hoga
Itni anmol cheez dedi kaise, sochta hoga!

*** More songs from the movie Ek Paheli Leela (2015) ***

Desi Look Song Lyrics
Deewana Tera Song Lyrics
Dhol Baaje Song Lyrics
Ek Do Teen Chaar Song Lyrics
Glamorous Ankhiyaan Song Lyrics
Saiyaan Superstar Song Lyrics
Tere Bin Nahi Laage Song Lyrics

** Hope you enjoyed the song lyrics! Share your happiness, and do comment below for any suggestions! Thank you :) **

*** Are you interested in learning music online? We have qualified teachers with as much as 15 years of experience. Please email us on lyricalwoods@gmail.com for more details, along with your preferences. Thank you, and happy learning!