“Pichle Saat Dinon Main Song Lyrics”

Movie: RockOn
Song: Pichle Saat Dinon Main
Music: Shankar Mahadevan, Ehsaan Noorani, Loy Mendonca
Lyricist: Javed Akhtar
Singer(s): Farhan Akhtar

Meri laundry ka ek bill, ek aadhi padhi novel
Nana na na na, nana na na na
Ek ladki ka phone number, mere kaam ka ek paper
Nana na na na, nana na na na
Mere, taash se heart ka king
Mera, ek chaandi ka ring
Pichle saat dinon main maine khoya
Kabhi khud pe hansa main, aur kabhi khud pe roya
(Nana na na na, nana na na na) *2

Present mili ek ghadi, pyari thi mujhe badi
Nana na na na, nana na na na
Meri jeb ka ek packet, meri denim ki jacket
Nana na na na, nana na na na
Do one day match ke passes
Mere naye naye sunglasses
Pichle saat dinon main maine khoya
Kabhi khud pe hansa main, aur kabhi khud pe roya…

Kaise, bhulu, saatva jo din aaya
Kisi ne, tumse, ek party main milvaaya
Kaisa, pal tha, jis pal maine tumko pehali baar dekha tha
Hum jo, mile pehli baar
Maine jaana kya hai pyar
Maine hosh bhi khoya dil bhi khoya
Kabhi khud pe hansa main, aur kabhi khud pe roya
(Nana na na na, nana na na na) *2
Maine pichhale saat dinon main, ye sab hai khoya! 🙂