“Sahib Song Lyrics”

Movie:  Bhoothnath Returns (2014)
Song: Sahib
Lyricist: Munna Dhiman
Singer: Rituraj
Music: Ram Sampath
Cast: Amitabh Bachchan, Parth Bhalerao, Boman Irani, Anurag Kashyap
Director:  Nitesh Tiwari
Producer: Bhushan Kumar, Krishan Kumar, Renu Ravi Chopra

(Sahib nazar rakhna, maula nazar rakhna) * 2
Tera karam sabko mile, sabki fikar rakhna
Sahib nazar rakhna, maula nazar rakhna

Na aadmi ki aadmi, jhele gulamiyan
Na aadmi se aadmi, maange salamiyan
Jo fark paida ho rahe, woh fark gark ho
Sabko barabar baant ye, dharthi ye aasmaan
Koi bhi na ho dard mein, sabki khabar rakhna
(Sahib nazar rakhna, maula nazar rakhna) * 2

Sab sar utha ke chal sake, sabko ye bal mile
Koi kisi awaaz ko, daatha kuchal na de
Yahan kaam bhi sabko mile, aaram bhi sabko
Mehnath kare jo aadmi, mehnath ka phal mile
Har bol pe, har baath pe, apna asar rakhna
(Sahib nazar rakhna, maula nazar rakhna) * 2
Maula, maula, maula.  _/\_