“Kashmir Main Tu Kanyakumari Song Lyrics”

Movie: Chennai Express (2013)
Song: Kashmir Main Tu Kanyakumari
Lyricist: Amitabh Bhattacharya
Singers: Arijit Singh, Neeti Mohan, Sunidhi Chauhan
Music: Shekhar Ravjiani, Vishal, Shekhar
Cast: Deepika Padukone, Shahrukh Khan
Director: Rohit Shetty
Producers: Gauri Khan, Ronnie Screwvala, Siddharth Roy Kapur

Chipak-chipak ke chalti hain, kabhi kabhi do rahein
Jude-jude kuch aise, ki laga ho jaise gum
Double-double hoti thi, jo kabhi-kabhi taqlifein
Kisi ke sang mein chalne se, hui half se kum
Ho tera mera, mera tera, tera mera, mera-tera qissa atrangi
Kabhi kabhi chalti hai, kabhi kabhi rukti kahani bedhangi

Kashmir main, tu Kanyakumari
North-South ki cut gayi dekho doori hi saari
Kashmir tu main kanyakumari
Fifty-fifty har situation mein hissedari, hey hey

Ek taraf toh jhagda hai, saath phir bhi tagda hai
Do kadam chalte hain, toh lagta hai aath hain
Do tarah ke flavour, sau tarah ke tevar
Dar-badar firtein hain ji, phir bhi apni thaath hai

Kabhi kabhi chale seedhe, kabhi mud jaayein
Kabhi kabhi kahin tootein, kahin jud jaayein
Hum sham-sahar ke, chaaron pahar ke
Mood mein dhal jaayein

Kashmir main, tu Kanyakumari
Uttar ne dakshin ko aflatoon aankh maari
Kashmir tu, main Kanyakumari
Tel bechne jaaye toh phir yeh duniya saari, hey hey

Main zara sa puncture toh, tu hawa ke jaisi hai
Sath ho toh pahiye, taqdeeron ke tight ho
Bulb ban jaaun main, aur tu switch banja
Bhaad mein jaaye duniya apni batti light ho

Kabhi kabhi chale seedhe, kabhi mud jaayein
Kabhi kabhi paidal, kabhi ud jaayein
Humein dekh zamane walon ki chaahe naak sikud jaaye

Kashmir main, tu Kanyakumari
Halke-fulke packet mein, dekho mushqil bhari
Kashmir tu, main Kanyakumari
Hindi mein gustakhi hai toh, English mein sorry

Chipak-chipak ke chalti hain, kabhi kabhi do rahein
Jude-jude kuch aise, ki laga ho jaise gum
Double-double hoti thi, jo kabhi-kabhi taqlifein
Kisi ke sang mein chalne se, hui half se kum
Ho tera mera, mera tera, tera mera, mera tera qissa atrangi
Kabhi kabhi chalti hai, kabhi kabhi rukti kahani bedhangi

Kashmir main, tu Kanyakumari
North-South ki cut gayi dekho doori hi saari
Kashmir tu main kanyakumari
Fifty-fifty har situation mein hissedari, hey hey.   ♥ 😎