“Aaja Meri Jaan Song Lyrics”

“Aaja Meri Jaan Song Lyrics”
Movie: I Love NY (2013)
Song: Aaja Meri Jaan
Lyricist: Mayur Puri
Singers: Mauli Dave
Music: Pritam Chakraborty
Cast: Sunny Deol, Kangana Ranaut
Directors: Vinay Sapru, Radhika Rao
Producers: Bhushan Kumar, Krishan Kumar

Ho (aaja, aaja meri jaan
Rootho na humse sanam
Tumhe hai mere kasam
Le jaayein jaan
Meri, yeh dooriyaan) * 2

Tumne kaha tha, saath tere
Saath tere, le loon abhi
Aankhon mein meri, aaj phir yoon
Aa gaye kyun, aansu abhi

Bolo, bolo zara tumhi
Vaada ye tha ki nahin
Tu hai jahan main wahin
Hain kyun ab tak
Yoon hain, yeh dooriyaan

Jagmaga raha, raaton ka sama
Jhilmila raha, raaton ka sama
Taaron se saja, raaton ka sama
Kehne laga

Aaja, aaja meri jaan
Rootho na humse sanam
Tumhe hai mere kasam
Le jaayein jaan
Meri, yeh dooriyaan

Tarsa ho koi, yeh suna tha
Magar humsa, tarsa nahin
Meelon chalein phir, hum jaana
Koi thikaana, ghar sa nahin

Mud ke, mud ke baahein meri
Pukaare baahon ko teri
Chali main raahon ko teri
Lag ja seene se
Kaisi, yeh dooriyaan

Manzilein kahan, raaste kahan
Kise hai phikr jaayenge kahan
Kise hai pata le chalo jahan
Dil hai ravaan

Aaja, aaja meri jaan
Rootho na humse sanam
Tumhe hai mere kasam
Le jaayein jaan
Meri, yeh dooriyaan.    😐