“Dil Ko Tumse Pyaar Hua Song Lyrics”

“Dil Ko Tumse Pyaar Hua Song Lyrics”
Movie: Rehna Hai Tere Dil Mein (2001)
Song: Dil Ko Tumse Pyaar Hua
Lyricist: Sameer
Music: Harris Jayaraj
Singers: Roop Kumar Rathod
Cast: Madhavan, Diya Mirza, Saif Ali Khan
Director: Vivek Kumar Mitthu
Producer: Vivek Kumar Mitthu

Umm hmm hmm, umm hmm hmm hmm hmm
Umm hmm hmm hmm hmm, mm mm hmm hmm mm

Dil ko tumse pyaar hua
Pehli baar hua, tumse pyaar hua
Main bhi, aashiq yaar hua
Pehli baar hua, tumse pyaar hua

(Chaayi hai, betaabi, meri jaan
Kaho main kya karoon) * 2

Dil ko tumse pyaar hua
Pehli baar hua, tumse pyaar hua
Main bhi, aashiq yaar hua
Pehli baar hua, tumse pyaar hua

Umm, kho gaya main khayaalon mein
Ab neend bhi nahin aankhon mein
Karvatein bas badalta hoon
Ab jaagta hoon main raaton mein
Ab doori, na sehni, har lamha kehta hai
Na jaane, haal mera, aisa kyoon rehta hai

Main deewana tera ban gaya jaane jaana
Main fasaana tera ban gaya jaane jaana
Haseena gori gori, churaaye chori chori
Churaaye dil chori chori chori chori chori

Dil ko tumse pyaar hua
Pehli baar hua, tumse pyaar hua
Main bhi, aashiq yaar hua
Pehli baar hua, tumse pyaar hua

Aarzoo hai mere sapnon ki
Baitha rahoon teri baahon mein
Sirf tu mujhe chaahe ab
Itna asar ho meri aahon mein

Tu keh de, haske toh, thod doon main rasmon ko
Marke bhi, na bhuloon, main teri kasmon ko
Main toh aaya hoon yahan pe bas tere liye
Tera tan man sab hai mere liye
Hai kya haseen nazaara, sama hai pyaara pyaara
Gale laga le yaara yaara yaara yaara yaara yaara yaara

Main bhi, aashiq yaar hua
Pehli baar hua, tumse pyaar hua
(Chaayi hai, betaabi, meri jaan
Kaho main kya karoon) * 2
Kya karoon, kya karoon, kya karoon.    😎  ♬